Bhare Darbar Mein Zainab Khadi Hai (Anjuman e Al Abbas)

Bhare darbar mein Zainab khadi hai.
Haye haye Zainab, haye darbar
Haye haye Zainab, haye darbar

Falak ne be rida jisko na dekha,
Bhare majma mein laaye usko,
Aadaan rasanbasta Ali ki laadli hai,
Bhare darbar mein Zainab khadi hai.

Bohot laachar hai Zehra ki dukhtar,
Jhukaya sar khadi hai binte Haider,
Haya se sar se pa gak kaanpti hai,
Bhare darbar mein Zainab khadi hai. 


Aseeri be ridaye aur khule sar yeh,
Tha Zehra ki beti ka muqaddar,
Illahi kaisi mushkil ki ghadi hai,
Bhare darbar mein Zainab khadi hai.

Haram zalim ke parde mein nehaan hai,
Jhukaya sar Ali ki betiyaan hai,
Har ek ke lab pa bas Nad e Ali hai,
Bhare darbar mein Zainab khadi hai.

Ab iss se badhke kya honge mazalim,
Hai mehwe guftagoo Zainab se zaalim,
Qayamat kyun na phir barpa howi hai,
Bhare darbar mein Zainab khadi hai.

Koi Abbas se jaake yeh kehde,
Ta'aruf horaha hai aake roke,
Sada Bhai ko Zainab se rahi hai,
Bhare darbar mein Zainab khadi hai.

Diya hai jis ghadi Zainab ne Qutba,
Samajh mein kuch nahi zaalim me aaya,
Chadi hoton pe sarwar ke rakhi hai,
Bhare darbar mein Zainab khadi hai.
 
Joh guzri Fatima ke betiyon par,
Raqam kis tarha ho pur dard manzar,
Qalam mein moosvi ke thatthari hai,
Bhare darbar mein Zainab khadi hai.
      

Comments