Main Zainab Hoon (2021)

Haye..
Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila.. Sad Wawaila

Sham e ghareeba'n
khaak pe kunba
zakhmi payro se chal chalke
zainab deti hai pehra
dekha ke sawaar aata hai koi
zainab yu tadap kar chillayi
ab lootne ko kya hai baaqi
awaaz sawaar ki ye aayi
pehchan tera baba hu ali
baba se lipat kar di ye sada
ghar ujad gaya mera kuch na raha
mera kuch na raha, mera kuch na raha
haye tukde tukde dil mera..(2)
Ye maqtal hai, mai zainab hu..(2)

Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila... Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Sad wawaila

1. Kaisi ye khiza'n aayi baba
mai kuch na bacha payi baba
na chadar na ghazi baba
na mera raha bhai baba
Allah, Allah, Allah, Allah
ghar ujda hai, dil rota hai..(2)
hai khoon mein tar lashkar saara
Ye maqtal hai, mai zainab hu..(2)
haye tukde tukde dil mera..(2)

Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila... Sad wawaila

2. Mai bhen athara veeran di
pardesich baba ujad gayi
darda'n di maari di teri
hai matamdar bahattar di
Allah, Allah, Allah, Allah
meku de pursa maqtoolan da..(2)
ujdi ku gal gal laa baba

Ye maqtal hai, mai zainab hu..(2)
haye tukde tukde dil mera
Ye maqtal hai, mai zainab hu

Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila... Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Sad wawaila

3. Ashoor ka din aisa guzra
aabad chaman barbaad hua
pyasa tanha bhai mera
pyaro ke laashe laata raha
Allah, Allah, Allah, Allah
kayi baar gira, gir girke utha
mazloom ghareeb e karbobala

Ye maqtal hai, mai zainab hu..(2)
haye tukde tukde dil mera
Ye maqtal hai, mai zainab hu

Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila... Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Sad wawaila

4. Jado ghazi chadiya ghode ton
mere muk daye naal bhirawan de
teri sharma wali zainab nu
nayi bhulne dard ridawan de
Allah, Allah, Allah, Allah
Baba, Baba, meku turna sikha..(2)
me wajnayi shaam nu rassiya pa

Ye maqtal hai, mai zainab hu..(2)
haye tukde tukde dil mera
Ye maqtal hai, mai zainab hu

Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila... Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Sad wawaila

5. Pardesi allah rasi te
nayi keeta taras zara baba
na maaro wasite dendi rayi
quran ko sirte jaa baba
Allah, Allah, Allah, Allah
nayi bas challiya koi ujdi de..(2)
mera veer laeena dita

Ye maqtal hai, mai zainab hu..(2)
haye tukde tukde dil mera
Ye maqtal hai, mai zainab hu

Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila... Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Sad wawaila

6. Ab khaak pe hai kunba saara
ye shame ghareeba'n hai baba
khaime bhi jale asbaab luta
koi na raha abid ke siwa
Allah, Allah, Allah, Allah
waha'n jashn bapa yaha'n aaho buka..(2)
ye shaam hai shaam e ashura

Ye maqtal hai, mai zainab hu..(2)
haye tukde tukde dil mera
Ye maqtal hai, mai zainab hu

Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila... Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Sad wawaila

7. Na ro zainab ye bole ali
aa seene se lag jaa beti
kar hausla meri shehzadi
abhi shaam ki manzil hai baqi
Allah, Allah, Allah, Allah
boli dukhiya tum karna dua..(2)
karna hai safar bazaro ka

Ye maqtal hai, mai zainab hu..(2)
haye tukde tukde dil mera
Ye maqtal hai, mai zainab hu

Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila.. Sad Wawaila
Wawaila... Hussain, Hussain, Hussain, Hussain
Sad wawaila

haye tukde tukde dil mera..

Comments