Mazar e Fatima (2021)

Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

Haye,
Dekho mazar e fatima kitna udaas hai

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

Dekho mazar e fatima kitna udaas hai
Bus ek nishan e sang hi turbat ke paas hai
mehroom choomne se bhi har haq shanaas hai
bol aye zamane dega bhala kya jawaab tu
mehshar mein Mustafa ke jab aayega ru baru

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

Allah re ye Fatima Zahra ki bekasi
ek shamma bhi jalane ko aata nahi koi
tanha hai ek goshe mein beti rasool ki
charo taraf madine mein phaili hai roshni
toote hue mazaar se lipti hai bekasi

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

Bol aye zamane kya tere daman mein kuch na tha
Zahra ne har namaz mein di hai tujhe dua
tu ek tooti qabr hi Zahra ko de saka
jab dekhte hai ujdi hui qabr e Sayyeda
lagta hai jaise dhoop mein baithi hai Fatima

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

Zahra wohi ke jiske pisar hai Hasan Hussain
Zahra wohi ke jiske hai shauhar shah e hunayn
Zahra wohi ke jo dil e payghambari ka chayn
aisa luta ye chayn ke ghar baar lut gaya
ek dil tha Fatima ka jo sau(100) baar kat gaya

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

Pehlu mein aapke hai Hasan, Zainul Abideen
Baqir bhi, aur Jafar e Sadiq bhi hai yahi
haye kisi ki qabr salamat bhi ab nahi
mehshar mein apna dard sunayegi Fatima
ummat ne jo kiya hai bataengi Fatima

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

Ghurbat rasool zaadi ki padhti hai marsiya
hasrat se takta rehta hai roza rasool ka
aankho'n mein ashk cheekhte hai wa Mohammada
farsh e azaa bichane ko aajaiye Imaam
Zahra ka ghum manane ko aajaiye Imaam

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

Bibi tumhare laal ke ghumkhwaar aaye hai
jaane kaha'n kaha'n se azadaar aaye hai
nauha sunane aapke zawwaar aaye hai
ye aarzu thi aankho'n se matti lagaenge
socha na tha ke fateha padhne na payenge

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

Zawwar chup hai saara baqaiyya udaas hai
karbobala khamosh madina udaas hai
har ek nabi ka chahne wala udaas hai
bibi ko qabr mein bhi sukoo'n hai na chayn hai
hai pasliyo'n pe haath zabaa'n par Hussain hai

Ya Mazlooma Ya masooma Ya Zahra..(2)
Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra..(2)

Comments

Post a Comment