Rabab Asghar Ko Yaad Karke (salaam)

Rabab Asghar ko yaad karke, joh khaali jhoola jhula rahi hai,
Lahad mein Asghar toh so rahe hai, woh kis ko lori suna rahi hai.

Hai godh sooni, toh ghar bhi soona, hai yaad Asghar ki aur hai rona,
Jala woh jhula, nazar mein rakh kar, kaleja apna jala rahi hai,
Rabab Asghar ko yaad karke, joh khaali jhoola jhula rahi hai.

Macha hai kohraam, bibiyo mein, sagheer maidaan me soye kaise,
Shaluke Asghar, ke nanhe nanhe, dikha ke sab ko rula rahe hai,
Rabab Asghar ko yaad karke, joh khaali jhoola jhula rahi hai.

Chadha hai naize, pa sar hai uska, joh teen din ka, tha bhooka pyaasa,
Hai khafiley mein, jahan bhi maadar, nazar bhi Asghar ki jarahi hain,
Rabab Asghar ko yaad karke, joh khaali jhoola jhula rahi hai.

Mala hai chehre, pa khoon tumhara, rahoge kya sheh ke saath beta,
Na dil jali ko, rulao beta, woh tum ko rokar bularahi hai,
Rabab Asghar ko yaad karke, joh khaali jhoola jhula rahi hai.

Bohot hi naazuk ho mere Asghar, lahad mein eezain denge kankar,
Milega aaram, aa bhi jao, yeh maa tumhein ghar, bularahi hai,
Rabab Asghar ko yaad karke, joh khaali jhoola jhula rahi hai.

Galey pa teere sitam joh khaaye, toh sheh ke hatho pa muskurai,
Hassi hai Asghar, ki aisi zamin, jahan ko ab tak rula rahi hai,
Rabab Asghar ko yaad karke, joh khaali jhoola jhula rahi hai.

Comments