Syed Badshah Hussain (2021)

Hussaina Hussaina
Jab Chali deen ki aur uske madadgaar ki baat
Ashiqe rabb ki, Muhammad ke wafadar ki baat
Sabr ki pyas ki, Isaar ki kirdar ki baat
Phir to hona hai, phir to hona hai mere syed-o-sardar ki baat

Haaan Dil me dhadakta hai- Sayed Badshah mera
Lab pe bhi rehta hai- Sayed Badshah mera
Mera Wazifa hai- Sayed Badshah mera
Aqaa mera 
Maula mera Syed Badshah Hussain
Badshah Husain
Sayed Badshah Husain x8

Hum bhi Azaadar hai, Haa wafadar hai
Tere ghamkwar hai Sayed Badshah Husain
(Jaan Husain Jaane jaa jaan Husain 
Dil o imaan Husain, haa mera sayed badshah Husain) x2

Ha Dil me rahe Maula mera
Yaad rahe karbobla 
Jari rahe zikr sada
Sath rahe farshe aza
Milke ye har baar kaho
Kaho Sau baar kaho
Sab Azadaar kaho 
Syed Badshah Hussain
Ma sha Allah tu behtari Sayed Badshah
Subhanallah Sar zameen Teri karbala
Jaane Jaane jaane ja jaane karbala x2
Sayed Badshah Husain x4
(Jaan Husain Jaane jaa jaan Husain 
Dil o imaan Husain, haa mera sayed badshah Husain) x2

Haa Swalle alaa Mohammadin
Swalle alaa nabiyena
Nana ka dil nana ki jaan
Maula Husain Sayedina
Sayado sardar hussian
Mere sarkar hussain
Mere mukatar hussain
Sayed Badshah Hussain
Ma sha Allah tu behtari Sayed Badshah
Subhanallah Sar zameen teri karbala
Jaane Jaane jaane ja jaane karbala x2
Hum bhi Azaadar hai, Haa wafadar hai
Tere ghamkwar hai Sayed Badshah Husain
(Jaan Husain Jaane jaa jaan Husain 
Dil o imaan Husain, haa mera sayed badshah Husain) x2

Haa Murshide Mann Ghazi rahe
Sayyade mann Ghazi rahe
Jaan Rahe ya naa rahe
Jari azadari rahe 
Lab pe ye paigham rahe 
Ye sada aam rahe 
Bus tera naam rahe 
Sayed Badshah Hussain
Ma sha Allah tu behtari Sayed Badshah
Subhanallah Sar zameen Teri karbala
Jaane Jaane jaane ja jaane karbala x2
Sayed Badshah Husain x4
(Jaan Husain Jaane jaa jaan Husain 
Dil o imaan Husain, haa mera sayed badshah Husain) x2

Haa hum hai fakirane Husain 
Matami darbane Hussain
Sayed Badshsah Husain x4 

Haa hum hai fakirane Husain 
Matami darbane Hussain 
Saare safeerane azaa 
Dil say hai qurban Husain
Hum pe hai Ehsan tera
Tu hai sultan mera
Tu hai eman mera
Sayed Badshah Husain
Ma sha Allah tu behtari Sayed Badshah
Subhanallah Sar zameen Teri karbala
Jaane Jaane jaane ja jaane karbala x2
Hum bhi Azaadar hai, Haa wafadar hai
Tere ghamkwar hai Sayed Badshah Husain
(Jaan Husain Jaane jaa jaan Husain 
Dil o imaan Husain, haa mera sayed badshah Husain) x2

Haa roz wo ashoor ka tha 
shah ka ghar jis main luta
Khoon bahattar ka baha  
aise sajaa deen e khuda
Marhba shah ast hussain
Badasha asst hussain
Depana ast hussain
Syed badsha Hussain
Ma sha Allah tu behtari Sayed Badshah
Subhanallah Sar zameen Teri karbala
Jaane Jaane jaane ja jaane karbala x2
Hum bhi Azaadar hai, Haa wafadar hai
Tere ghamkwar hai Sayed Badshah Husain
(Jaan Husain Jaane jaa jaan Husain 
Dil o imaan Husain, haa mera sayed badshah Husain) x2

Mashallah tu bahtreen syeda badsha
SubanALlah sarzameen teri karbla

Jan e jaan jaane jaan karbala
Jane e jaan jaane jaan karbala

Hussain,,,,Hussain…Hussain……
Hussain,,,,Hussain…Hussaina……

Azadaaroo x3
Hum log Azadaar hai
Seekhi hai wafa dar e shah e wafa se
Karte hai bohot pyar shahe karbobala se
Hote hi nahi dure kabhi farshe azaa se 

Ay Azadaaro x2
Ay sheh ke azadaro iss ghum ko manana hai 
Ye farshe azadari ghar ghar me bichana hai 
Shabbir ki ghurbat ka nauha bhi sunana hai
Kyu karte hai ye matam duniya ko batana hai
Haaye kya kya na sitam mere maula ne uthaya hai
Nana se kiya wada sayed ne nibhaya hai
Ek din me bhare ghar ko sehra me lutaya hai 

Ghum naujawan Akber ka- wawaila Husain Husain x4
Ghum Qasimo Asger ka
Ghum Ghazi dilawar ka
Ghum Haye bahattarka
Ghum Berida behno ka 
Jalte hue khaimo ka
Ghum Baali Sakina ka 
Ghum Pyase Shaheedo ka
Wa ghurbata Husain, wa hasrata Husain, ay badshah Husain 

Husain Husain Husain Husain x2

Shaheede Karbala Husain 
Ghareebe Naynawa Husain 
Qatile bekhata Husain
Zabihe Mariya Husain
Nabi ka Dilruba Husain
Jalale Murtaza Husain
Shaheede Karbala Husain x2 
Ghareebe Naynawa Husain 

Allahumma Swalle alaa Mohammadiw wa aale Mohammed

Comments