Wa Qillata Nasera (Anjuman e Al Abbas)

Halmin naserin yan surna
Labbaik Ya Hussain, Labbaik Ya Hussain

Wa qillata nasera (×4)


Sab maut se rishta jod gaye,
Abbas kamar ko tod gaye (×2)
Akbar bhi akela chod gaye (×4)
Shabbir ke lab par tha nauha,
Wa qillata nasera (×4)

Beti ko kya rulwaoge,
Batlao mujhe kab aaoge (×2)
Seeney pe nahi sulwaoge (×4)
Kyun rote ho kehkar aye Baba,
Wa qillata nasera (×4)

Shabbir shahadat payega,
Be sar laasha reh jaayega (×2)
Yaha kaun madad ki aayega (×4)
Aye kaash koi dafna deta,
Wa qillata nasera (×4)

Jab dil bhi howa pani pani, 
Main dena saka khatra pani (×2)
Akbar ne kaha Baba pani (×4) 
Uss waqt koi pani deta,
Wa qillata nasera (×4)

Kat ta tha gala sheh sehte rahe,
Aur khoon ke aansu behte rahe (×2)
Dam jaata raha sheh kehte rahe (×4)
Abbas mere bhaiya bhaiya,
Wa qillata nasera (×4)

Sarwar joh gaye dariya ke qareeb,
Abbas kahi the haath kahi (×2)
Tab kaamp gayi karbal ki zameen (×4)
Ab kaun muhafiz hai mera,
Wa qillata nasera (×4)

Jab Karbobala yaad aati hai,
Hum shiyo ko rulwati hai (×2)
Sarwar ki sada tadpati hai (×4)
Kya dard mein doobe nale the,
Wa qillata nasera (×4)

Mazloom ne di halmin ki sada,
Nusrat hai karo matam girya(×2)
Dawar ka yeh dil se pura ho nauha,
Wa qillata nasera (×4)

Comments