Bain The Yeh Bano Ke (Anjuman e Parwana e Shabbir)

Bain the yeh bano ke, mere bezubaan Asghar,
Shaam hogayi beta, tum gaye kaha Asghar.

Bekasi me kya meri, aas toot jaayegi,
Ab tumhare jhoole mein, kisko maa jhulaayegi, 
Dasht ke andhere mein, kaise neeend aayegi (x2)
Ghut rahi hain seene mein, kabse loriyaan Asghar,
Bain the yeh bano ke, mere bezubaan Asghar,
Shaam hogayi beta, tum gaye kaha Asghar.

Dekhne ko zinda thi, maa woh karb ka manzar, 
Kya sitam howe beta, aah teri gardan par, 
Teer e zulm kya kam tha, haye phir chala khanjar (x2)
Gir pada na dharti par, kyu yeh aasmaan Asghar,
Bain the yeh bano ke, mere bezubaan Asghar,
Shaam hogayi beta, tum gaye kaha Asghar.

Tere jism e naazuk par, pyaas ka asar dekha,
Tera chaand sa chehra, khoon me tarbatar dekha,
Maine nok e naiza par, haye tera sar dekha, (X2)
Margayi na kyu teri be-naseeb maa Asghar,
Bain the yeh bano ke, mere bezubaan Asghar,
Shaam hogayi beta, tum gaye kaha Asghar.

Kya bayaan karu beta, mere qalb ki haalat,
Phir rahi hai aankhon mein, teri chaand si soorat,
Kar saki na jee bharke, haaye main teri khidmat,
Sharmsaar hai beta, aaj teri maa Asghar,
Bain the yeh bano ke, mere bezubaan Asghar,
Shaam hogayi beta, tum gaye kaha Asghar.

Shaahe deen ne dafnaaya, teri laash ko beta, 
Ahle zulm ko lekin, yeh bhi kab gawara tha, 
Qabr se nikaala tha, tera khoon bhara laasha (x2)
Phool sa woh sar tera, aur woh sina Asghar,
Bain the yeh bano ke, mere bezubaan Asghar,
Shaam hogayi beta, tum gaye kaha Asghar.

Kyu rahe na mahshar tak, dil figaar Bano ka,
Haa yeh maatam e Asghar, hai qaraar Bano ka,
Kya bayaan karey Ahsan, haal e zaar Bano ka (x2),
Umr bhar labon par tha, haye meri jaan Asghar,
Bain the yeh bano ke, mere bezubaan Asghar,
Shaam hogayi beta, tum gaye kaha Asghar.

Comments