Dekh Madine Kya Kya Yaadein (Anjuman e Parwana e Shabbir)

Dekh madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hai Zainab,
Karbobala mein ghar ko lutakar apne watan mein aayi hai Zainab. 

Zulm kiya woh ahle jafaa ne, Zainab ka gham Zainab jaane, 
(Soojhe howe hain ab tak shaane) x2
Daaghe yeh kaisi paayi hain Zainab, 
Dekh madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hai Zainab.

Gham ki kise rudad sunaaye, zakhm jigar ke kaise dikhaaye, 
(Daagh e rasan kis kis se chupaaye) x2
Sonchke yeh ghabraayi hai Zainab,
Dekh madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hai Zainab.

Shaam ka kya bazaar saja tha, shehr e khada tha, bahr e tamaasha,
(Haye kisi ne yeh bhi na soncha) x2
Yeh to Ali ki jaayi hai Zainab,
Dekh madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hai Zainab.

Saamne haakim ke main khadi thi, Bhai ke mere lab pa chhadi thi, 
(Haye woh kaisi sakht ghadi thi) x2
Sonch ke yeh tharrayi hai Zainab,
Dekh madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hai Zainab.

Ek qayamat harsu bapa thi, mahwe tamaasha khalq e khuda thi, 
(Aur tamaasha aale abaa thi) x2
Haaye bohot sharmaayi hai Zainab,
Dekh madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hai Zainab.

Shimr ke durre baali Sakina, pyaas ki shiddat jalta seena,
(Aa na saki waapas woh Madina ) x2
Tanha use chod aayi hai Zainab,
Dekh madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hai Zainab.

Ashk e Aza ki moti lutaado, farsh e azaa aankhon ko banado,
(ajde mein Sajid sar ko jhukaado) x2
Bazm e Aza mein aayi hai Zainab,
Dekh madine kya kya yaadein saath mein apne laayi hai Zainab.


Comments