Pamaal Ran Mein Hogaya (Anjuman Al Abbas)

pamaal ran mein hogaya noushahe karbala

 

aayi jo ran se qasim -e- bekas ki yeh sada,

 waqt madad hain aayiye ab aayiye chacha

shabbir sar ko peet ke karte the buka

paamal ran mein hogaya noushahe karbala

 

Qasim hume bulate hain abbas hain kaha

goonji sada hussain ki tharaya aasman

akbar se roke kehte the yeh shah -e- insoja

paamal ran mein hogaya noushahe karbala

 

suraj pe ahle shaam ka nargha hain aye pisar

dhonde kidhar sitam ke andhere mein yeh nazar

awaaz sun rahe hain falak se yeh hum sada

paamal ran mein hogaya noushahe karbala

 

mausam bahar ka tha fizza kaisi chagayi

yeh zindagi ke din yeh ajal kaisi aagayi

tera baras ka sin tha abhi yeh sitam huwa

paamal ran mein hogaya noushahe karbala

 

maqtal ki sar zameen pa dekha yeh maajra,

Tukde badan ke bikhra tha Qasim ke jabajaa,

Abbas se kehte the bhai yeh kya howa,

paamal ran mein hogaya noushahe karbala

 

maqtal ki gardoodh ke Qasim joh sogaye,

armaan zindagi ke sabhi khaak hogaye,

dulhan ke lab pe tha yehi nauha basad buka,

paamal ran mein hogaya noushahe karbala

 


Comments