Zainab Lipat Gayi Hai (Anjuman e Parwana e Shabbir)

Zainab lipat gayi hai, mazaar e Hussain se.

Armaan hai yeh Zainab, e aali maqaam ka, 
Chehlum hai Karbala mein shahe, tashnaqaam ka, 
Bhai ki qabr dekh ke, aansu nikal pade, 
Pyaason ki yaad aayi toh, darya ubal pade, 
Bhai ki qabr hilgayi, kwaahar ke bain se,
Zainab lipat gayi hai, mazaar e Hussain se.

Bhaiya tumhare baad anokhe sitam howe, 
Durre lage ridaayein chini, khaime jalgaye,
Bano ke qalb ka woh sahara bhi jalgaya, 
Maa dekhti hi rehgayi, jhoola bhi jalgaya, 
Bhai ki qabr hilgayi, kwaahar ke bain se, 
Zainab lipat gayi hai, mazaar e Hussain se. 

Bhaiyya woh raat kaisi qayamat ki raat hai, 
Ahle haram pa saqt musibat ki raat thi, 
Shaane kataake mera nigehbaan sogaya,
Abbas ka joh farz tha, maine adaa kiya, 
Bhai ki qabr hilgayi, kwaahar ke bain se, 
Zainab lipat gayi hai, mazaar e Hussain se. 

Aaghaaz Karbala se hamara safar howa,
Abid ko dekh dekhe tukde jigar howa,
Kufe mein sar barahna joh, aal e Aba gaye, 
Baba har ek qadam pa mujhe yaad aagaye,
Bhai ki qabr hilgayi, kwaahar ke bain se, 
Zainab lipat gayi hai, mazaar e Hussain se. 

Bhaiyya tumhari beti pa kya kya sitam howa. 
Lekin kabhi na sabr ka meyaar kam howa, 
Jab inteha e zulm e sitamgar hogayi,
Aakhir Skina shaam ke zindaan mein khogayi,
Bhai ki qabr hilgayi, kwaahar ke bain se, 
Zainab lipat gayi hai, mazaar e Hussain se. 

Chehlum ke baad main joh Madine ko jaaungi,
Amma ko main safar ki musibat sunaaungi, 
Gar ho sake to neel rasan ke dikhaaungi, 
Main zindagi tamaam tera gham manaaungi,
Bhai ki qabr hilgayi, kwaahar ke bain se, 
Zainab lipat gayi hai, mazaar e Hussain se. 


Comments