Lahu Lahu Hai Musallah (MAK)

Lahu lahu hai musalla, lahu lahu hai jabeen
Ay zulm dekh zara, kahin ali to nahi

Yeh waar kispe huwa hai,laraz gaya Kaaba
Labe hayaat pe thehri huwi hai kun ki sada
Falak Hy Noha Kuna, To matami hai zameen

Laraz rahi hai namazein tarap rahi hai azaan
Khuda ke khoon se tar hogaya khuda ka makaan
Hai sogwaare ali, tamam e arsh e makeen

Padar jahaan se hasnain ka guzar ta hai
Tamam kufa hi lekin yateem lagta hai
Yateem aaj huwa Khuda rasool ka deen

Yeh bayn karti hai Zainab, na jaiye baba
Lipat ke ghazi se kulsoom ne kiya girya
Tarap rahe hai hasan, Kahin Hussain kahin

Kiya hai zulm ye kaisa, dile payambar per
Huwa hai haalat e roza me waar haider per
Baqi se kufe chalee, Hai fatema bhi hazeen

Ghulame hur kahin salman ho ata rutba 
Yehi musala e matam me kar rha ho dua
Kafan ho farsh e aza, Lahad najaf ki zameen

Comments