Zakhmi Ali (MAK)

Ghar me khuda ke ye qayamat huwi Sajda e haq me huwe zakhmi ali Haatif e ghaibi ne ye aawaaz di Maahe mubarak mein ghazab hogaya Zakhmi shenshaahe arab hogaya Masjide kufa bhi larazne lagi Behne laga sar se ali ke lahoo Gham ki faza phel gayi chaarsu Parhte the noha ye namazi sabhi Waar jo sajde mein ali par huwa Mola ne bas fuztu woh rabbi kahaa Khoob sa’adat yeh ata hogayi Ghar me khuda ke hi wiladat huwi Ghar me khuda ke hi shahadat huwi Guzri ali haq pe teri zindagi Jeena yateemo’n ka huwa hai mahaal Kaun bhala unka rakhega khayal Saare yateemon’ ke hai lab par yehi Chote se abbas bhi rone lage Nohe kiye zainab o kulsoom ne Rote hain sar peet ke Hasnain bhi Hogai Azlaan qayamat bapa Aati hai zahra ki lahad se sada Bacho’n ne mere nahi dekhi khushi

Comments