Abbas Se Kehti Thi Yeh Fauj E Sitam Aara

Abbas Se Kehti Thi Yeh Fauj E Sitam Aara Dariya Hai Hamara

Behtar Hai Agar Aap Karein Isse Kanara Dariya Hai Hamara

 

Aane Ki Yahan Shaam Ke Haakim Ki Khabar Hai Sab Zer O Zabar Hai

Kal Subha Se Ghir Jayega Maidan Yeh Saara Dariya Hai Hamara

 

Yeh Sunte Hi Abbas Ke Abroo Mein Bal Aaya Bardhkar Yeh Sunaya

Hargiz Nahi Tum Logoun Ka Kuch Isme Ijara Dariya Hai Hamara

 

Pyase Rahe Maidan Mein Waan Sibt E Payambar Sayrab Ho Lashkar

Ek Dam Mein Ulat Doonga Safoun Ko Sitam Aara Dariya Hai Hamara

 

Lashkar Ko Hata Kar Yeh Sada Sher Ki Aayi Kiski Hai Tarayi

Batlao Ke Khabzey Mein Hai Ab Kiske Kanara Dariya Hai Hamara

 

Zainab Ne Kaha Shah Se Ghabrati Hoon Bhai Howe Na Ladayi

Le Aaiye Abbas Ko Yeh Kehke Khudara Dariya Hai Hamara

 

Jaakar Kaha Shabbir Ne Abbas E Dilawar Kyun Hote Ho Muztar

Mere Liye Har Cheez Ko Khaaliq Ne Utara Dariya Hai Hamara

 

Be Deenou Ki In Baatoun Ko Khaatir Mein Na Laao Ghusse Mein Na Aao

Hum Woh Hain Diya Nuh Ki Kashti Ko Sahara Dariya Hai Hamara

 

Markar Bhi Na Bhuloonga Saf Aarai Ko Teri Saqqayi Ko Teri

Hai Tere Muqaddar Mein Azal Se Yeh Kanara Dariya Hai Hamara

 

Dasween Ko Muharram Ki Qayamat Huwi Bismil Ro Dete They Qaatil

Sahil Pa Katey Haath Jo Karte They Ishara Dariya Hai Hamara

Comments