Alam Abbas Ka (2022)

Aye Logo Aao Tumko Batau
Rehmat E Baari Tumko Dikhau
Saare Jahaan Ka Hai Ek Sahara
Ye Jo Alam Mere Ghar Pe Laga Hai
Ye Hai Alam Abbas Ka

Ghum Se Nikale, Mushkilein Taale
Kaisa Wasila Rab Ne Diya
Ye Hai Alam Abbas Ka

Hum Ne Alam Jab Ghar Mein Sajaya
Ghar Mein Rakhe Zehra Ne Qadam
Door Huye Sab Ranj O Masayeb
Phir Kaisi Mushkil Kaisa Ghum
Daste Karam Hai, Sheh Ka Bharam Hai
Jiska Koi Saani Na Mila
Ye Hai Alam Abbas Ka

Ye Jo Bandhi Hai Mashk E Sakina
Isko Kaho Taweez E Wafa
Rishta Bhatiji Aur Chacha Ka
Aaj Talak Na Toot Saka
Ek Kahani, Iski Zabani
Sun Lo Agar Sunte Ho Sada
Ye Hai Alam Abbas Ka

Dekho Alam Ka Surkh Pharehra
Chadar E Zainab Se Hai Bana
Jo Bhi Alam Ke Saaye Mein Aya
Duniya Ke Sab Ghum Bhool Gaya
Ab Jaake Mana, Sara Zamana
Saya Fighan Ghar Ghar Pe Hua
Ye Hai Alam Abbas Ka

Aisa Alam Duniya Mein Dikhao
Jiski Ata Ho Rab Ki Ata
Shaan E Azadari Ye Alam Hai
Dekho Azakhano Mein Zara
Manatain Puri, Karta Hai Sabki
Zinda Hai Iske Dam Se Wafa
Ye Hai Alam Abbas Ka

Hamza O Jafar Ka Ye Alam Hai
Hai Ye Alam Haider Ka Alam
Denge Gawahi Shah E Zaman Bhi
Hai Ye Mere Lashkar Ka Alam
Baarwa Haider, Kaabe Ki Chhat Par
Lehra Ke Isko Dega Sada
Ye Hai Alam Abbas Ka

Qatl Hua Jab Dariya Pe Ghazi
Toot Gayi Maula Ki Kamar
Laasha Nahi Sheh Laye Jari Ka
Laye Alam Hi Khoon Mein Tar
Beti Se Bole, Shabbir Roke
Aye Nahi Dariya Se Chacha
Ye Hai Alam Abbas Ka

Karbobala Ke Dasht Ka Manzar
Kaise Likhu Rota Hai Qalam
Bad E Jari Aulaad E Payambar
Nauhakuna Thi Zer E Alam
Baali Sakina, Karti Thi Noha
Saaye Mein Iske Aaye Qaza
Ye Hai Alam Abbas Ka

Panja Alam Ka Mesum O Mazhar
Daste Karam Abbas Ka Hai
Paal Raha Hai Saare Jahan Ko
Ye Bhi Hasham Abbas Ka Hai
Jisne Jo Manga, Usne Wo Paya
Phir To Zamane Ko Kehna Para
Ye Hai Alam Abbas Ka


Comments