Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne (2022)

Sughra Ko Muharrm Ka Jab Chand Nazar Aaya
Yaad E Sheh Mola Ne Dil Aur Bhi Tarpaya

Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Aageya Mah E Muharram Haan Nahi Aaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Yaad Pardais Main Aati Hai Lahad Amma Ki
Ghar Ka Ahwal Sunane Ko Kaha Jaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Aap Aaye Na Khabar Aayi Na Akbar Na Aaye
Aary Kaisay Is Haal Main Sughra Se Jiya Jaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Jab Se Ye Chand Muharram Ka Nazar Aaya Hai
Amma Roti Hai Tujhe Aye Mere Maajaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Koi Tasweer To Zahra Ki Rahi Parde Main
Haye Ye Toh Acha Huwa Sughra Ko Nahi Laaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Naam Par Shaah Ne Akbar Ke Kharidi Hai Zameen
Kaise Jaageer Tujhe Bhai Ki Dikhlaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Eid Bhi Soog Ke Aalam Main Guzari Usne
Haye Akbar Kabhi Kehti Thi Kabhi Haye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Haye Mustakil Shah Ki Aakho Se The Aansu Jaari
Khat E Sughra Ko Mukammil Nahi Parh Paaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Haye Ik Ik Beti Se Rukhsat Huwe Khaime Main Magar
Haye Afsos Ke Sughra Se Na Mil Paaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Likh Ke Noha Ye Takallum Ne Dua Maangi Hai
Har Azadar Ko Aashur Pe Bulwaye Hussain
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain

Comments