Mere Qasim Ki Aati Hai Mehendi

Ran Mein Bewa Hassan Ki Pukari, Mere Qasim Ki Aati Hai Mehendi

Aaj Ke Din Ke Jaoon Mai Waari, Mere Qasim Ki Aati Hai Mehndi

 

Yeh Sunakar Woh Aal E Aba Ko Lagi Tasleem Karne Khuda Ko

Phir Kaha Yun Har Ek Akhroba Ko, Mere Qasim Ki Aati Hai Mehndi

 

Sotey Kyun Ho Baraati Jagao Shaadiyan E Shehnayi Bajao

Pardey Qaimey Ke Jaldi Uthao, Mere Qasim Ki Aati Hai Mehndi

 

Ek Mandak Sehan Mein Tana Do Chowkhi Le Aake Neeche Bicha Do

Ghar Mein Sandal Ke Chhapey Laga Do, Mere Qasim Ki Aati Hai Mehndi

 

Farsh Puchwakar Mehndi Sanwaro Mere Naushah Per Phool Waaro

Samdanein Aake Bedi Utaro, Mere Qasim Ki Aati Hai Mehndi

 

Uski Ghurbat Pe Ab Sadqe Jaao Mere Pyare Ka Kangna Bandhao

Aaj Mehman Sab Mere Aao, Mere Qasim Ki Aati Hai Mehndi

 

Pyaas Dulha Ki Pehle Bujhao Bibiyon Thoda Sharbat Pilao

Tum Abhi Ye Na Sab Ko Sunao, Mere Qasim Ki Aati Hai Mehndi

Comments