Ooncha Rahe Apna Alam (Anjuman e Masoomeen)

Jab Tak Hai Daur E Aasmaan - Sunle Yeh Har Peer O Jawaan

Aawaaz Per Shabbir Ki Chalta Rahe Yeh Karwaan

Rukne Na Paaye Yeh Qadam - Ooncha Rahe Apna Alam

 

Har Qalb Per Chhatey Chalo -Duniya Ko Batlate Chalo

Ek Ek Mahaze Zulm Ki Tasweer Dikhlatey Chalo

Har Dil Mein Bhardo Sheh Ka Gham - Ooncha Rahe Apna Alam

 

Kab Tak Na Maanega Koyi - Woh Waqt Aayega Kabhi

Har Qalb Per Chha Jayega Apna Hussain Ibn E Ali

Duniya Rahey Zair E Qadam - Ooncha Rahe Apna Alam

 

Jab Bhi Koyi Mushkil Padi - Duniya Isi Dar Per Jhuki

Seenoun Se Bal Khakar Idhar Utthi Sada E Ya Ali

Nikla Udhar Baatil Ka Dam - Ooncha Rahe Apna Alam

 

Yeh Parcham E Abbas Hai - Tootey Diloun Ki Aas Hai

Ab Tak Isi Parcham Taley Zinda Kisi Ki Pyaas Hai

Jisne Sahey Laakhoun Sitam - Ooncha Rahe Apna Alam

Abbas Hai Naam E Wafa – Aaghaz O Anjam E Wafa

Munh Mordh Ke Dariya Se Jo Peeta Raha Jaam E Wafa

Hotey Rahey Baazu Qalam - Ooncha Rahe Apna Alam

 

Zinda Hai Hal Min Ki Sada - Mith Ta Nahin Khoon Ka Likha

Shabbir Ke Haq Ki Qasam Ek Moajeza Hai Karbala

Yeh Silsila Hoga Na Kam - Ooncha Rahe Apna Alam

 

Jab Karbala Yaad Aayegi - Insaniyat Sharmayegi

Mazloom Ki Awaaz Hai Dil Mein Utar Ti Jayegi

Paltenge Phir Behke Qadam - Ooncha Rahe Apna Alam

 

Aye Naujawanan E Aza - Tum Ho Kisi Dil Ki Duwa

Ta-Hashr Uthti Hi Rahey - Seenoun Se Maatam Ki Sada

Qayam Rahey Akbar Ka Gham - Ooncha Rahe Apna Alam

Comments