Sun Meri Dukhiya (Anjuman e Masoomeen)

 Sughra Se Bayan Karte They Yeh Syyede Wala Aye Fatima Sughra

Beti Koyi Beemar Safar Mein Nahin Jaata Aye Fatima Sughra

 

Ab Mere Tasawwur Mein Khuda Jaane Hai Kya Kya Mai Tujhse Kahun Kya

Mai Karbobala Mein Hoon Tera Naama Bar Aaya Aye Fatima Sughra

Sun Meri Dukhiya Aye Fatima Sughra

 

Qasid Se Yeh Ro Ro Ke Bayan Karta Hoon Ahwaal Hai Gham Se Bura Haal

Yawar Hai Na Ab Koyi Madadgar Hai Mera Aye Fatima Sughra

Sun Meri Dukhiya Aye Fatima Sughra

 

Woh Pyaas Ki Shiddat Hai Yeh Behta Huwa Dariya Paani Nahin Milta

Do Roz Se Pyaasa Hai Muhammad Ka Nawaasa Aye Fatima Sughra

Sun Meri Dukhiya Aye Fatima Sughra

 

Sab Mar Gaye Qasim Hai Na Abbas Na Akbar Taraaj Huwa Ghar

Ab Sajda E Mabood Mein Sar Mera Katega Aye Fatima Sughra

Sun Meri Dukhiya Aye Fatima Sughra

 

Aafath Ka Safar Hai Yeh Musibath Ka Safar Hai Ghurbath Ka Safar Hai

Jaoon To Kahan Jaoon Samajh Mein Nahin Aata Aye Fatima Sughra

Sun Meri Dukhiya Aye Fatima Sughra

 

Sab Mar Gaye Aazar Hai Dushman Hai Zamana Waada Hai Nibhana

Kya Guzregi Mujh Per Yeh Bata Bhi Nahi Sakta Aye Fatima Sughra

Sun Meri Dukhiya Aye Fatima Sughra

 

Mai Chhord Ke Jaata Hoon Tujhe Aye Meri Dukhtar Kyun Hoti Ho Muztar

Aayenge Tujhe Lene Ko Akbar Tere Bhayya Aye Fatima Sughra

Sun Meri Dukhiya Aye Fatima Sughra

 

Aata Hoon Mai Awaara Watan Apne Watan Se Is Ranj O Mehan Se

Ab Sabr Ki Manzil Se Guzarna Hi Padega Aye Fatima Sughra

Sun Meri Dukhiya Aye Fatima Sughra

 

Sughra Se Yeh Kehte They Kaleem Hazrat E Shabbir Aur Zainab E Dilgeer

Marzi Hai Jo Allah Ki Woh Ho Ke Rahega Aye Fatima Sughra

Sun Meri Dukhiya Aye Fatima Sughra


https://www.youtube.com/watch?v=zsm1BFCBT6g

Comments