Alam Bardar Aata Hai (2022)

Yeh Kaun Hai Falak Sara Larazta Hai
Yeh Kaun Hai Zameen Ka Dil Dharkta Hai
Alam Bardar Aata Hai Alam Bardar Aata Hai
Yeh Lagta Hai Keh Jaisay Haider-e-Karrar Aata Hai
Alam Thamay Hussaini Foaj Ka Salar Aata Hai

Falak Sara Larazta Hai Zameen Ka Dil Dharkta Hai
Fiza Mein Shoor Barpa Hai Addo Ka Dam Nikalta Hai
Jarri Yeh Kaun Aata Hai Alam Kis Ka Ubharta Hai
Yazeedi Foaj Mein Halchal Dilon Pe Khof Chaya Hai

Jo Thi Karrar Ki Haibat Wohi Abbas Ki Haibat
Khuda Ke Shair Jaisi Hai Ali Ke Shair Ki Taqat
Wohi Chehra Wohi Seerat Wohi Jazba Wohi Jurat
Abhi Aaya Nahi Lekin Addo Pe Cha Gayi Dehshat
Misal-e-La Fatah Shabeer Ka Salar Aata Hai

Abhi Yeh Shoor Barpa Tha Keh Gonja Haidery Narah
Misal-e-La Fatah Ghazi Achanak Samne Aaya
Mujhe Abbas Kehte Hain Jarri Lalkar Kar Bola
Alamdar-e-Hussaini Hoon Ghulam-e-Syed-e-Wala
Sada Deta Howa Yeh Ghazi-e-Jarrar Aata Hai

Yahan Tanha Dil-e-Haider Wahan Lakhon Jafa Paikar
Yahan Bas Hath Mein Naiza Wahan Taig-o-Sina Khanjar
Yahan Sokha Hai Mashkeza Wahan Serab Hai Lashkar
Yahan Shoq-e-Shahadat Hai Wahan Shoqeen-e-Maal-o-Zar
Moqabil Marhabon Ke Sahib-e-Kirdar Aata Hai

Addo Se Cheen Kar Darya Alam Abbas Ne Gara
Yazeedi Foaj Mein Oss Dam Achanak Shoor Yeh Utha
Aray Bhago Tarai Se Ali Aaya Ali Aaya
Phir Oss Ke Baad Darya Par Faqat Ghazi Nazar Aaya
Jafa Karoon Mein Ban Kar Maut Ki Lalkar Aata Hai

Bhara Jis Waqt Mashkeza Bara Yaad Aayi Masoma
Liye Pani Soye Khaima Chala Saqqa Sakina Ka
Bhara Jab Gird Ghazi Ke Yazeedi Foaj Ka Halqa
Kaha Abbas Ne Dil Mein Sakina Tum Na Ghabrana
Abhi Le Kar Yeh Mashkeza Tera Ghamkhuwar Aata Hai

Alam Ghazi Dilawar Ka Jab Oss Ke Khon Mein Doba
Bureda Bazoon Wala Na Mashkeza Bacha Paya
Tarapta Khak Par Dekha Jo Sheh Ne Bhai Ka Lasha
Wafa Ko Naaz Hai Tujh Par Pukarey Syed-e-Wala
Khudaya Pas Ab Tere Mera Salar Aata Hai

Comments