Azmaton Ki Maalika Bazaar Mein

Azmaton Ki Maalika Bazaar Mein

Haaye Zainab Berida Bazaar Mein,

Azmaton Ki Maalika Bazaar Mein.

 

Shaam Waalon Ne Sajaaya Shaam Ko,

Daawatein Bheji Hujoom E Aam Ko,

Laaye Phir Aale Aba Bazaar Mein,

Azmaton Ki Maalika Bazaar Mein.

 

Ek Khutba Aapne Aisa Padha,

Ek Sahabi Peet Kar Kehta Raha,

Aagaye Ya Murtaza Bazaar Mein,

Azmaton Ki Maalika Bazaar Mein.


Sar Ke Khoon Mein Tar Hai Jiski Ab Jabeen,

Dar Haqeeqat Shaamiyon Zainab Nahi,

Aa Rahi Hai Fatima Bazaar Mein,

Azmaton Ki Maalika Bazaar Mein.

 

Ae Khuda Usko Bohot Tauqeer De,

Dard E Ahlebait Ki Jageer De,

Jisne Yeh Nauha Suna Bazaar Mein,

Azmaton Ki Maalika Bazaar Mein.

Comments