Aye Nanhe Mujahid Ali Asghar (Anjuman e Hyderia)

Bano Ka Tha Nauha Mere Jaani Mere Dilbar
Aye Nanhe Mujahid Ali Asghar Ali Asghar

Jhoole Me Tadapte The Bohat Pyaas Ke Maare
Is Dhoop Me Kistarha Se Tum Run Ko Sidhaare
Chain Aayega Kaise Tumhe Ab Jalti Zameen Par.

Bheji Thi Tumhe Run Me Naye Kapde Pinaake
Maidaan Se Tum Aaye ho Ab Khoon Me Nahake
Kin Aankhon Se Is Haal Me Dekhe Tujhe Maadar.

Hichki Bhi Jo Aati To Tadapta Tha Mera Mann.
Kis Tarha Se Dekhoon Teri Dhalki Huwi Gardan
Maan Hoon Mera Patthar Ka Kaleja nahi Dilbar.

6 Maah Ke Sin Me Tumhe Lene Ajal Aayi
Aagosh Me Jee Bhar Ke Tujhe Lene Na Paayi
Kal Goud Me The Aaj Mila Rait Ka Bistar

Tujhpar Jo Huwe Zulm-O-Sitam Kaise Bataun
Kis Mooh Se Watan Jaake Ye Sughra Ko Sunaun
Paani Ke Awaz Tumko Mila Teer E Sitamgar

Aye Laal Tujhe Karbobala Raas Na Aayi
Is Dasht E Musibat Me Luti Maa Ki Kamayi
Mai Kook Jali Dekh Na Paayi Tujhe Jee Bhar.

Duniya Me Nawaz Aisa Sipahi Na Milega
Maqtal Ki Faza Me Koi Raahi Na Milega
Jo Mout Ki Aagosh Me Aaya Ho Humakkar.

Comments