Bekafan Laasha Pada Hai (Anjuman e Hyderia)

Bekafan laasha pada hai Fatima ke laal ka
Sar juda tan se huwa hai Fatima ke laal ka.


Asr-e-Ashura Hai Run Me Ek Qayamath Ka Samaan
Aasmaa'n Khoo'n Ro Raha Hai Chal Rahi Hain Aandhiyaa'n 
Halq Pyasa Kat Raha Hai Fatema Ke Laal Ka


Pees Ker Chakki Ba Hasrath Maa Ne Paala Hai Jisay
Qatl Hota Hai Pisar Wo Aaj Maa Ke Saamne
Pyaas Se Sookha Gala Hai Fatema Ke Laal Ka
 

Khaak-E-Maqtal Per Tadapte Hain Hussain ibn-e-Ali
Aur Seene Per Hai Zalim Haat Mein Lekar Churi
Kaun Ab Monis Bacha Hai Fatema Ke Laal Ka

 
Ungliya'n Kaati Hai Zaalim Ne Angooti Ke Liye
Laash Per Daudaye Ghode Phir Yazidi Fauj Ne
Paara Paara Tann Kiya Hai Fatema Ke Laal Ka
 

Akbar-o-Qasim Hai Asghar Hai Na Abbas-e- Jari
Kah Rahi Hai Roke Zainab Ab Nahi Baakhi Koyi
Eik Din Mein Ghar Luta Hai Fatema Ke Laal ka
 

Ek Yateema Ko Milay Baad-E-Pidar Sadme Naye 
Shimr Ne Maare Tamaachay Kaan Zakhmi Hogaye
Is Tarah Pursa Mila Hai Fatema Ke Laal Ka


Baad-E-Abbas-E-Jari Chader Chini Qaime Jale
Berida Hain Bibiya'n Aur Sab Ke Hain Baazu Bandhe
Dar Ba Dar Kunba Phira Hai Fatema Ke Laal Ka
 

Dekhkar Zakhmi Tan-E-Majrooh Run Ki Khaak Per
Anbiya Karte Hain Giriya Sar Ko Apne Peet Ker
Arsh Per Matam Bapa Hai Fatema Ke Laal Ka 
 

 Kis Qadar Mazloom Hai Bano Ka Ye Nanha Pisar
Teer Se Maara Hai Zaalim Ne Sawaal-E-Aab Per
Haaye Asgher Mar Gaya Hai Fatema Ke Laal Ka 


Teer Se Talwar Se Zakhmi Hai Farzand-E- Nabi
Patheroun Se Maarte They Hass Ke Pathar Dil Shaqi 
Khoon tan se bah raha hai Fatema ke laal ka
 

Mustafa-O-Murtaza Dete Hain Ye Har Pal Dua
Shaad Aur Aabaad Rakh Usko Hamesha Aye Khuda
Jo Bhi Matam Kar Raha Hai Fatema Ke Laal Ka


Hashr Tak Baakhi Rahe Ya Rab Ye Awaaz-E-Aza
Aur Yuhi'n Aati Rahe Har Ghar Se Matam Ki Sada
Nauha Shahid Ne Likha Hai Fatema Ke Laal Ka

Comments