Aare Hain Imam e Zaman

Aare hain Imam e Zaman, Fatima ka janaza liye,
Ghar se nikle Hussain o Hassan, Fatima ka janaza liye.

Ghusl dun kaise rabbe jahan, hain shikasta sabhi phaslian,
Bole Haider ba ranj o mehan, Fatima ka janaza liye.

Qalbe Hassnain hain MuzmAima ka janaza liye.

Jab kaha ro ke Shabbir ne, Maa gale se lagalo hame,
Dard se toote bande kafan, Fatima ka janaza liye.

Shab ki phailin jo taarikian, so gaya jab ye saara jahan,
Tab chale ghar se khaibar shikan, Fatima ka janaza liye.

Ya Ali asbaro saaberren, do Nabi ki amanath hame,
Qabr karne lagi ye suqan, Fatima ka janaza liye.

Ghunchao gul ke tadpe jigar, gham se larza hain bargo shajar,
Kithna veera(n) hai dee(n) ka chaman, Fatima ka janaza liye.

Hai Mujeeb aur Razi ki fughan, kyun na kaanpe ye arzo sama,
Uthre marqad me Shaahe Zaman, Fatima ka janaza liye.

Comments