Ameere Lashkare Hussain (Sachay Bhai)

eezabre dashte nainawa ameere lashkare hussain
nihange qulzume wagha ameere lashkare hussain
khadange tarkashe khaza ameere lashkare hussain
barange shahe la-fata ameerre lashkare hussain
jari diler bawafa ameere lashkare hussain
wafa bahade maujeza ameere lashkare hussain
ye zulfaqare hyderi ye shere beshaye najaf
ye taygo tayz hasmi nishane jurrate salab
har ek ka markaze nazar kafeele tashnagane taf
kanare nehre alqama tamam fauj ka hadaf
kisi se par na ruk saka ameere lashkare hussain

bahadurane safshikan may is jari ke tazkire
dilwarane taygho an may is jari ke tazkire
har ek wafa ke anjuman may is jari ke tazkire
rasoole paak ke chaman may is jari ke tazkire
ghuroore aale mustafa ameere lashkare hussain

hussain ka aqi bhi hai hussain ka ghulam bhi
hussain ki sifar bhi hai tabar bhi hai husaam bhi
hussain ki zira bhi hai ama bhi hai sihaam bhi
hussain hukm de agar to shimr se kalaam bhi
wagarna wo kuja kuja ameere lashkare hussain

hussain izn de agar abhi ye sab ko dekh le
abhi iraq-o-sham ko abhi halab ko dekh le
abhi abhi ye koofiyane be-adab ko dekh le
muqabila jo aa pade to kul arab ko dekh le
misaale shahe la-fata ameere lashkare hussain

isharaye imam ho to fatha may dhara hai kya
shoyaye mehr ke liye ye sham ki ghata hai kya
furaat tak na jaane de kisi may hausla hai kya
ali ke sher ke liye ye jange karbala hai kya
ulat de taqt shaam ka ameere lashkare hussain

yazeede bad nihaad se sukoone zaat cheen le
muhazeene nehr se haqe hayaat cheen le
jo marziye hussain ho abhi furaat cheen le
furaat kya hai ye wo hai ke kaayenat cheen le
bada baland hausla ameere lashkare hussain

magar yahan to hukm hai ke bas alli ke sher bas
hussain apni zindagi se ho chuka hai sayr bas
qareebe waqte asr hai bas ab mere dilayr bas
hamare kooch may kahin mazeed ho na dayr bas
karega ta ba gar waghan ameere lashkare hussain

Comments