Hath Pehlu Se Hataya Nahi Jata Baba (Kazmi Brothers)

Hath Pehlu Se Hataya Nahi Jata Baba.
Dard Ne Kar Diya Zahra Ko Zaeefa Baba.

Meri Tazeem Na Ki Hath Uthaya Oss Ne.
Samne Beton Ke Taun Keh Ke Bulaya Oss Ne.
Bholon Kaisay Main Ummat Ka Rawaiyya Baba.

Ab Woh Darbar Kahan Baba Mere Qabil Hai.
Mera Qatil Bhi Wohi Hai Jo Tera Qatil Hai.
Tere Qatil Ne Mujhe Mara Tamacha Baba.

Yeh Na Socha Keh Nabi Aa Ke Jahan Ruktay They.
Jahan Hasnain-o-Ali Sham-o-Sahar Jhuktay They.
Teri Zahra Pe Woh Darwaza Giraya Baba.

Rasi Sartaj Ki Sheh Rag Ke Qareen Roti Hai.
Unn Ki Talwar Bhi Ab Zair-e-Zameen Roti Hai.
Chup Ke Kartay Hain Ali Raat Ko Giriya Baba.

Dard Itnay Hain Keh Sare Main Sunaon Kaisay.
Zakhm Aisay Hain Keh Haider Ko Dikhaon Kaisay.
Sare Zakhmo Ki Gawah Hai Meri Fizza Baba.

Lash-e-Abbas Pe Sadiq Yeh Khulay Ga Uqdah.
Aik Hi Mohsin-o-Abbas Ka Qatil Hoga.
Dushmani Ho Gi Kahan Iss Se Zyada Baba.

Comments