Haye Baad-e-Rasool Ummat Nay

Haye baad-e-Rasool ummat nay Fatima ko bohat sataya hay

Us kay ghar ko jalanay aaye hain, jis kay ghaar main Quran aaya hay

Bharay darbaar may musalmaan nay dono jhutla diye hain laal us kay
Jaanay kaisa salook kaar dala pal may ho gaye safaid baal us kay
Gir kay bayhosh ho gayi Zehra, haal Zainab ko jab sunaya hay

Boli Fizza issay rulao na jhirkiyan do na kuch toh sharam karo
Dekh jis ko Nabi kharay rehtay us ko darbaar main khara na karo
Royi jab ladli Muhammad ki, sara darbaar muskaraya hay

Teri hi maa ka naam hay Zainab aur Shabbir hay sabar tera
Teray aansu Sajaad kay aansu, aur Sakina may hay asaar tera
Teray bachon nay Bibi teri tarha, zulam seh kay yeh deen bachaya hay

Jo ajar syedan nay hay paaya kaisay koyi lagaiay andaaza
Jab musalmano nay kiya humla yun laaga Fatima ko darvaza
Zakhmi pehlo say paak bibi nay, mar kay bhi haath na uthaya hay

Na Hassan daar hay koi mehshar ka aur nah khauf hay jahannum ka
Hum azadaron ko to bus Bibi aasara hay bohat teray ghum ka
Qasam Ghazi ki khush naseeb hay woh, jis kay dil main yeh ghum samaya hay

Comments