momino faatemaa ka maatam hai
dukhtare mustafaa ka maatam hai
baade ehmad jis-e sataaya gayaa
aaj uss be-nawaa ka maatam hai
murtazaa ne kiya chaak girebaan
zawja-e baa-wafaa ka maatam hai
khak sar par ud-haate hai hasnain
maadar-e ghamzadaa ka maatam hai
ghar men roti hai zainab-o-kulsum
khuld men sayyadaa ka maatam hai
khub jisko rulaayaa ummatne
uss asire-e balaa ka maatam hai
jiske khaadim the aasmaan waale
uss kaniz-e khudaa ka maatam hai
maryam aur haajraa hai nawhaa kuna
aaj khairunnisaa ka maatam hai
uff na ki go ke pasliyaan tuti
ruh-e sabro razaa ka maatam hai
Comments
Post a Comment