Royi Jab Ladli Muhammad Ki (Kazmi Brothers)

Royi Jab Ladli Muhammad Ki, Sara Darbar Muskuraya Hai.
Haye Baad-e-Rasool Zahra Par, Kaisa Ghurbat Ka Waqt Aaya Hai, 
Sara Darbar Muskuraya Hai.

Jaise Jaise Batool Roti Thi, Keh Qahey Un Ke Badhtey Jate The.
Sath Jin Ko Batool Layi Thi, Ashk Dono Gawah Bahatay They.
Sab The Masroof Muskuraney Mein, Na Kisi Ko Bhi Taras Aaya Hai.
Sara Darbar Muskuraya Hai.

Tere Mimber Pe Baithe Gasib Ko Teri Tehreer Bhi Dikhai Hai.
Kar Ke Tukray Laeen Ne Baba Bharay Darbar Mein Aurai Hai.
Pak Tehreer Ko Hai Tukron Mein Main Ne Darbar Se Utha Hai.
Sara Darbar Muskuraya Hai.

Main Tu Woh Hoon Ke Ya Rasool Allah, Jis Ki Taazeem Aap Karte The.
Naam Lena Ho Jab Mera Baba, Aap Pehle Darood Padhtay The.
Kya Bataon Keh Mujh Pe Kya Guzri, Us Ne Tu Keh Ke Jab Bulaaya Hai.
Sara Darbar Muskuraya Hai.

Yeh Woh Bibi Hai Keh Muhammad Bhi, Jis Ko Umm-e-Abeeha Kehte The.
Woh Sawali Bani Khari Thi Magar, Saamne Kursiyon Pe Baithe The.
Us Ko Muslim Kahu Bhala Kyun Kar, Jis Ne Bibi Ka Dil Dukhaaya Hai.
Sara Darbar Muskuraya Hai.

Comments