Zayeefa Lag Rahi Thi Haaye Zehra (Anjumam e Masoomeen)

Zayeefa lag rahi thi haaye Zehra
Musibat haaye Zehra per thi kaisi
Asa lekar chala karti thi Bibi
Zayeefa lag rahi thi haaye Zehra

Nabi ke baad thi bechain Bibi
Dil e Zehra pe chhayi thi udaasi
Pidar ki yaad mein karti thi giriya

Sukoon e qalb e paighamber thi duqtar
Kiya hamla usi duqtar ke ghar per
Dar e Zehra ko ummat ne jalaya

Sulagta dar giraya Fatema par
Sitam ummath ka tha ye inteha par
Huwa pehlu shikasta Fatema ka

Bahot roya mera Moula tadapker
Larazthi rehgayi qabr e payamber
Shikam mein haaye jab Mohsin ko maara

Thi tooti phasliya'n haaye re ghurbat
Magar jaari rahi us per ibadat
Wo manzer dekh ker roti thi Fizza

Nabi ki har wasiyat ko bhulaker
Fidak Bibi se bhi chhinay sitamgar
Sare darbaar Zehra ko bulaaya

Utaaye raat din sadmein bala ke
Misaale shab ho gar wo din pe padte
Ghazab usper bhi tha rone pe pehra

Qaza ke waqt Zehra ne bulaker
Kaha bachon ko seene se lagaker
Khuda Hafez mere bacho na rona

Abhi tak zulm Bibi per hai jaari
Isi gham mein sada rote hain Mehdi
Nahi hai turbat e Zehra pe saaya

Yahi Saber ke dil ki thi tamanna
Dua shahid bhi karta hai hamesha
Ke ho tameer ab Zehra ka Rauza

Comments