Abid Ghareeb Beykas-o-Naachaar Margaya (Hyderabad, India)

Abid ghareeb beykas-o-naachaar margaya
Saadaath khaak uddaayein kay Sardaar margaya

Saayaa rahaa saroun pa na chawthay Imam ka
Zehra ki jaan Hussain ka dildaar margaya

Kaanton pa kheinchtey thay jisey raahey Shaam mein
Woh saarbaan-e-Ithrath-e-Athaar margaya
Shammey mazaarey Panjetan-e-Paak bhujj gayee
Saidaaniyoun ka haaye parasthaar margaya

Baanu ka chaand zeir-e-zameen haaye chhupp gaya
Faaqaa kasho Ghareeb Dilafgaar margaya

Beti Hasan ki hogayi beywaa hazaar haif
Haider ka pothaa aashiq-e-Ghaffaar margaya

Rothaa rahaa jo baap ko chaalees saal takh
Woh aaj Shaahey deen ka Azadaar margaya

Bin baap kay layeen ney Baqar ko kardiyaa
Chauthaa Wasee-e-Ahmad-e-Mukhtaar margaya

Kyunkar Shaoor khaak uddaaoon na aaj mai
Mai jiski nasl sey hoon woh sardaar margaya

Comments