Amma Fizza Bathaa Dey Mujhko

Kaisa hai yeh charaghaan dil dubey jaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai
Amma Fizza bathaa dey mujhko
Pathar kyun aarahey hain

Hain log kistarhaa kay, Hum sey dua karaayein
Aye qaidiyon dua doh, Yeh din na hum pey aaye
Leykar duayein hum sey, Dil bhi dukhaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Honay lagi Azaanein, Kaisey saron ko dhaampey
Baazu bandhey huvey hain, Khoon ro rahi hai aankhein
Ankhon kay khoon sey rastey, khoon mein naha rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Naizoun pey jitney sar hain, Ek sar hai unmein aisaa
Aankhein hai bandh uski, Aur khaak par hai girtaa
Abbas ka yeh sar hai, Teywar bathaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Itnaa chaley hain paidal, Kaanton pey saarey qaidi
Thakk jaati chaltey chaltey, Chalti agar zameen bhi
Paaoon kay aabley bhi, Rokar bathaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Maaoun ki goadiyon sey, Liptey huvey hain bachchey
Hai haath rassiyoun mein, Maaooun sey aisey jakddey
Bachhey jo gir rahey hain, Woh martey jaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Karney lagaa tilaawath, Naizey pa Ibne Hyder
Naamoos-e-Mustafa kay, Sar pa nahin hai chaadar
Nazroun ko ashqiyaa ki, Sarwar hataa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Naizey pey ro rahaa hai, Mushkil Kushaa ka beta
Naa mehramoun kay labb par, Aaya hai naam meraa
Mujhko kaneez zaadey, Yoon bhi rulaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Sajjad ka kaleijaa, Sadh paash ho raha hai
Ek ek zakhm inka, Is gham mein ro raha hai
Zainab ka naam leykar, Aadaa bulaa rahey hain
Kya Shaam Aagaya hai

Comments