Chala ran ko tera baba Sakina
Khuda hafiz hae ab tera Sakina
Na Akbar hain na Abbas-e dilaawar
Na hain Aun-o Mohammed aur na Asghar
Sar-e maqtal hoon main tanha Sakina
Chacha joh naaz uthata tha tumhare
Woh jaakar sogaya dariya kanaare
Tujhe ab chod kar tanha Sakina
Sitamgar aayenge qaime jalaane
Chalenge tujhpa beti taaziyane
Milega yoon tujhe pursa Sakina
Koi ab tujhko behlaaye toh kaise
Meri beti ko neend aaye toh kaise
Na hoga ab mera seena Sakina
Main waaqif hoon tu khayegi tamanche
Tere ruqsaar ho jayenge neeley
Dilaasa kaun ab dega Sakina
Sitam zaalim bahut dhaayenge bibi
Palat kar hum na ab aayenge bibi
Sada hum ko na ab dena Sakina
Yateemi taaziyanon ki azeeyat
Museebat ka safar har pal qayamat
Yeh sab kuch hai tujhe sehna Sakina
Tere kaanoun se chin jayenge gowhar
Bahut rulwayenge tujhko sitamgar
Musalsil sabr hae karna Sakina
Rahegi humsafar tashna dahani
Na dey paaya tujhe ek boond paani
Tera baba hae sharminda Sakina
Tha khaimoun mein Rasheed us waqt mehshar
Sakina se yehi kehte thay Sarwar
Khuda hafiz meri dukhiya Sakina
Comments
Post a Comment