Ghurbath mein utt rahaa hai janaaza Ghareeb ka
Arz-o-samaa mein shour hai barpaa Ghareeb ka
Kehtay hain sar ko peet kay sab bekas-o-Ghareeb
Sar sey hamaarey utt gaya sayaa Ghareeb ka
Angoor-e-zehardaar uthartey hi halq sey
Hai hai huvaa hai qalb doh paara Ghareeb ka
Koyi na tha karey jo kifaalath Imam ki
Laasha Taqi ney aakay utthaaya Ghareeb ka
Kyun phatt kay aasmaan na is gham mein gir padey
Maatam hai aaj Khuld mein barpaa Ghareeb ka
Samsaam ki yeh arz hai ro-ro kay momino
Do Dukhtar-e-Rasool ko pursaa Ghareeb ka
Comments
Post a Comment