Sadme Uthaa Rahi Hun Main Baba Tumhaare Baad

sadme uthaa rahi hun mai baba tumhaare baad 
darbaar jaa rahi hun mai baba tumhaare baad 
 
baabaa ye faatemaa pe musibat kaa waqt hai 
ye marhalaa kathan hai qayaamat kaa waqt hai 
khutbaa sunaa rahi hun mai baba tumhaare baad 
 
koi mujhe bataaye ke kyaa hai meraa kusur 
sadmaa ye hai ke shehr ki aabaadiyon se dur 
aansu bahaa rahi hun mai baba tumhaare baad 
 
baabaa tumhaare baad ye mujh par sitam huwaa 
mohsin meraa shahid huwaa waa musibataa 
ye gham uthaa rahi hun mai baba tumhaare baad 
 
baabaa gharib beti ki ghurbat to dekhlo 
ummat ne haq nahin diyaa binte rasul ko 
ye ajr paa rahi hun mai baba tumhaare baad 
 
zulmat ki har naqaab ko rukh se hataa ke aaj 
darbaar men laeen ke khutbaa sunaa ke aaj 
haq ko bachaa rahi hun mai baba tumhaare baad

Comments