Sher-e Khudaa Ki Laash Hai Su-e Najaf Chali

Sher-e Khudaa Ki Laash Hai Su-e Najaf Chali 

Har Simt Ek Shor Hai Mawlaa Ali Ali 


Shaahzaade Shaahzaadiyaan Baabaa Ko Rote Hai 

Haq Ke Wali Ko Khalq Ke Mawlaa Ko Rote Hai 

Zehraa Ke Gar Men Kai-si Musibat Ye Aagayi 


Diwaaro Dar Hai Nawhaa Kunaa Shehr Sogwaar 

Sar Ko Patak Te Jaate Hai Mawlaa Ke Jaan Nisaar 

Ek Tegh-e Zehr Baar Se Duniyaa Ujaad Di 


Mazlumiyat Kaa Haqkaa Madad Gaar Chal Basaa 

Bewaaon Kaa Yatimon Kaa Gham Khwaar Chal Basaa 

Mushkil Kushaa Judaa Huwaa Mushkil Ye Aagayi 


Zainab Ki Nazren Baabaa Ko Paaengi Ab Kahaan 

Kulsum Roti Jaati Hai Le-le Ke Hinch-kiyaan 

Baabaa Ki Yaad Aati Hai Har Waqt Har Gadi 


Lo Sogwaaro Mehr-e Wilaayat Imaam Ki 

Kaandhon Pe Laash Uthaawo Tum Zakhmi Imaam Ki 

Keht E Chalo Yahaan Se Najaf Tak Ali Ali 

Comments