Tar Khoon Mein Howi Haider Ki Jabeen (Hassan Sadiq)

tar khoon mein howi haider ki jabeen
kyun rote hai jibreel-e-ameen
ya ali ya ali

ye taygh chali kiske sar par
zaqmi huye sajde may haider
kyun hilne laga hai arshe bareen
tar khoon mein....

karti hai azane wawaila
masjid ka sahan hai farshe aza
haider ke lahoo se tar hai zameen
tar khoon mein....

kyun rozedaar pe zulm kiya
tune bine-muljim ye to bata
shaq hogayi kyun moula ki jabeen
tar khoon mein....

hasnain ke sar se saaya utha
maghmoon hui kaabe ki faza
marqad my nabi ko chain nahi
tar khoon mein....

wo shahe arab wo shere khuda
wo nafse nabi wo daste khuda
kyun taygh chalayi dushmane deen
tar khoon mein....

zainab pe yateemi chaayi hai
masjid se khabar ye aayi hai
lo qatl hua kaabe ka makeen
tar khoon mein....

abbas tadapkar rote hai
ruksat mere moula hote hai
gir jaaye falak phat kar na kaheen
tar khoon mein....

rehaan bichao farshe aza
har ghar se uthay matam ki sada
is gham ki kiski ko taab nahi
tar khoon mein....

Comments