Zehra Ke Ghar Pe Aaj Musibat Ki Raat Hai

zehra ke ghar pe aaj musibat ki raat hai 
maulaa ali ki aaj shahadat ki raat hai 
 
bole hassan ye bhaai se bhaai sabar karo 
bhaai hussein humpe yatimi ki raat hai 
 
ummul baneen karti hay rokar ke ye buqaa 
ujaraa meraa suhaag qayamat ki raat hai 
 
karke wasiyaten kahaa haider ne laadlo 
bacho ye aaj tumpe gharibi ki raat hai 
 
zainab kaa chehraa dekh ke rone lage ali 
tum par ye aaj shaame gharibaa ki raat hai 
 
apni lahad ko chor ke zehraa bhi aayi hai 
pursaa do fatemaa ko ye purse ki raat hai 
 
arshe bareen pe karte hein saare malak buqaa 
damaade mustafaa ki ye rukhsat ki raat hai 
 
jaffer ali ye karte hein majlis men ye dua 
jaakar najaf men ye kahen ziaarat ki raar hai 
 

Comments