Aaj Abbas Jo Hote

Berida kyu nazar aati zainab aaj abbas jo hote
mu na baalo se chupaati zainab aaj abbas jo hote

dulhane auno mohammed ki le aati ghar me,
byaah akbar ka rachaati zainab aaj abbas jo hote.

shaahzaadi ki tarah apne watan me rehti,
qaid hokar nahi jaati zainab aaj abbas jo hote.

roz shabbir ki masnad ko sajaati ghar me,
farshe matam na bichaati zainab aaj abbas jo hote.

sar khule isko to sooraj ne bhi dekha na yazeed,
kab tere saamne aati zainab aaj abbas jo hote.

qaab kya kya nahi dekhe the sakina ke liye,
uski turbat na banati zainab aaj abbas jo hote.

ya ali aaiye ab khud hi bachaane ke liye,
taaziyaane to na khaati zainab aaj abbas jo hote.

Comments