Aayi Haatif Ki Aawaz

Aayi haatif ki aawaz sheh ko utro Shabbir ye karbala hai,
Bas qadam ab na aage badhaao utro Shabbir ye karbala hai.


Ab safar qatm hai ibne Zahra, labe darya karo qaima barpa,
Hashr tak hai yahi’n tumko rehna utro Shabbir ye karbala hai.

Yahi’n nau roz mehmaa’n rahoge, khaane peene ki eeza sahoge,
Bhooke pyaase yahi’n qatl honge utro Shabbir ye karbala hai.

Marte dam bhi na paani milega, pyaasi gardan pa qanjar chalega,
Sar chadega sina pa tumhara utro Shabbir ye karbala hai.

Laash chaalees din tak tumhari, Isi jungle me uryaa’n rahegi,
Rone waala bhi hoga na koi utro Shabbir ye karbala hai.

Khaaegi jab sakina tamaacha, yahi’n tadpega laasha tumhara,
Shimr dega yahi’n usko eeza utro Shabbir ye karbala hai.

Raahwaar apna sarwar ne roka, utre baaqar wahi’n shaahe waala,
Haatife ghaib jis dam pukaara utro Shabbir ye karbala hai.

Comments