Amma Bas Ek Raat Ka Mehmaan Hai Hussain (Anjuman e Masoomeen)

Amma bas ek raat ka mehmaan hai hussain.

andheri raat hai amma ghamo ka andhera hai,
ab iske baad meri aaqri sawera hai,
watan se door mujhe koofiou ne ghera hai.
Amma bas ek raat ka mehmaan hai hussain.

har ek shere dilawar bichadne wala hai,
mere safeene ka langar bichadne wala hai,
ke mujh se mera baradar bichad ne wala hai.
Amma bas ek raat ka mehmaan hai hussain.

jawaa'n pisar ka janaza mai kal uthaunga,
ghamo alam se zaeefi me ladkhadaunga,
zaroor aana mai amma tumhe bulaunga.
Amma bas ek raat ka mehmaan hai hussain.

lahum ki subha ko ran aisa padne wala hai,
ke mujh ghareeb se kunba bichadne wala hai,
bhara hua ye mera ghar ujadne wala hai.
Amma bas ek raat ka mehmaan hai hussain.

meri sakina ko seene se tum laga lena,
gire jo naaqe se amma use utha lena,
sitamgarou ke tamachou se tum bachalena.
Amma bas ek raat ka mehmaan hai hussain.

tumhare chand ko gherenge sham ke haale,
mere badan pe lagaenge zulm ke bhaale,
ke mujh pe toot padenge ye barchiyo waale.
Amma bas ek raat ka mehmaan hai hussain.

abhi to jhula e asghar bhi ran ko jaaega,
zaeef baap ke hathou pe teer khayega,
lahu me doob ke besheer muskuraega.
Amma bas ek raat ka mehmaan hai hussain.



har simt se barsenge mujhpe teer o sina,

gulu e qushk se hoga yahi pe khoon rawa,

mera mazar banega isi jagah amma.


abhi to quwwate dil mujhko aazmani hai,

abhi to mayate akbar mujhe uthani hai,

abhi to turbate besheer bhi banani hai.

Comments