Ay Meri Behan Dukhiya Zainab (Anjuman e Masoomeen)

Ay meri behan dukhiya zainab

akbar na raha asghar na raha abbas sa bhai qatl hua,
ab tere hawale hai kunba,
hai sabr tujhe karna zainab,
ay meri behan...

wo zakhmi kaleja akbar ka hulqoon chida wo asghar ka,
har lamha tujhe yaad aayega,
hai sabr tujhe karna zainab,
ay meri behan...

farwa ko sahara dena hai kubra ko dilasa dena hai,
har gaam ek maqtal hoga,
hai sabr tujhe karna zainab,
ay meri behan...

kat jayega ab mera bhi gala hoga laasha pamaal mera,
naize ki ani par sar hoga,
hai sabr tujhe karna zainab,
ay meri behan...

chin jayegi tere sar se rida jal jayega bistar abid ka,
tu hogi rasan basta behna,
hai sabr tujhe karna zainab,
ay meri behan...

bemaar pisar sajjad mera zanjeer may jakda jayega,
aur tauq may hoga uska gala,
hai sabr tujhe karna zainab,
ay meri behan...

mazloom meri pyasi bachi zaalim ke tamache khayega,
rassi may bandhega uska gala,
hai sabr tujhe karna zainab,
ay meri behan...

gir jayenge unton se bache aur goonjenge unke naale,
koi na sunega unki sada,
hai sabr tujhe karna zainab,
ay meri behan...

sab zakhm liye jaana hai watan allah tera haafiz hai behan,
ab jaata hai ran ko bhai tera,
hai sabr tujhe karna zainab,
ay meri behan...

bechain thi zainab sunke rasheed ho jayega pyasa bhai shaheed,
tha sheh ke labon par ye noha,
hai sabr tujhe karna zainab,
ay meri behan...

Comments