Baba Ko Bachale Mere (Anjuman e Masoomeen)

Baba ko bachale mere baba ko bachale
ashoor ki shab kehti thi ro ro ke sakina,
baba ko bachale....

tu maalik o mukhtar hai sunle mere naale,
baba ko bachale....
ay paalne wale mere baba ko bachale

baba ke bina neend nahi aayegi pal bhar
ho jaungi muztar,
ay khaaliqe akbar mujhe dunya se uthaale,
baba ko bachale....

kal suboh ko tootegi musibat pe musibat,
aayegi qayamat,
haathon may adoo ke hai chamakte hue bhaale,
baba ko bachale....

ek sar ke liye aaye hai laakhon sitam [ejaad],
ho jayegi bedaad,
sehme hue hai aaj ki shab naazon ke paale,
baba ko bachale....

har qaime me jaati hai tadap kar phupi amma,
hai sakht pareshan,
kal khaak me mil jaayenge aaghosh ke paale,
baba ko bachale....

qaimo me udaasi hai dhadakta hai mera dil,
hai zindagi mushkil,
kal honge juda mujhse mere chaahne wale,
baba ko bachale....

mar jayenge kal mere chacha aur bhaiya,
koi na bachega,
is gham ke talatum may mujhe kaun sambhale,
baba ko bachale....

sad haif ye kehti thi kaleem dukhtare shabbir,
bhai mera besheer,
ho jayega kal teer e sitamgar ke hawale,
baba ko bachale....

Comments