Chala Ran Ko Tera Baba Sakina (Anjuman e Masoomeen)

chala ran ko tera baba sakina,
quda hafiz hai ab tera sakina.

na akbar hai na abbase dilawar,
na hai auno mohammad aur na asghar,
sare maqtal hu mai tanha sakina.

chacha jo naaz uthata tha tumhare,
wo jakar sogaya darya kanare,
tujhe ab chod kar tanha sakina.

sitamgar ayenge qaime jalane,
chalenge tujh pe beti taziyane,
milega yu'n tujhe pursa sakina.

koi ab tujhko behlaye to kaise,
meri beti ko neend aaye to kaise,
na hoga ab mera seena sakina.

mai waqif hu tu khayegi tamache,
tere ruqsar ho jayenge neele,
dilasa koun ab dega sakina.

sitam zalim bohat dhayenge bibi,
palat kar ham na ab aaenge bibi,
sada humko na ab dena sakina.

yateemi taaziyanou ki azeeyat,
musibat ka safar har pal qayamat,
ye sab kuch hai tujhe sehna sakina.

tere kaanou se chin jaayenge gouhar,
bohat rulwayenge tujh ko sitamgar,
musalsal sabr hai karna sakina.

rahegi hamsafar tashna dahani,
na de paaya tujhe ek boondh paani,
tera baba hai sharminda sakina.

Comments