Kaha Hinda Ne Bibi (Anjuman e Masoomeen, Hyderabad)

Kaha hinda ne bibi koi yu'n bhi jaan khota hai
sakina ne kaha jis ka koi marta hai rota hai

kaha hinda ne laayi hu mai pani kyu nahi peeti
sakina ne kaha kunba mera bin pani sota hai
kaha hinda ne bibi koi yu'n bhi jaan khota hai

kaha hinda ne laayi hu ridaye kyu nahi leti
kaha mera gharana bekafan jangal me sota hai
kaha hinda ne bibi koi yu'n bhi jaan khota hai

kaha hinda ne bibi aaj kyu itni pareshaa'n ho
kaha sar ko jhuka kar bazuou me dard hota hai
kaha hinda ne bibi koi yu'n bhi jaan khota hai

kaha hinda ne bibi muh pe kyu ye qaak malti ho
kaha rokar yateemou ka yahi dastoor hota hai
kaha hinda ne bibi koi yu'n bhi jaan khota hai

kaha hinda ne bibi baal kyu itne pareshaa'n hai
kaha mera jhandoole baalou wala ban me sota hai
kaha hinda ne bibi koi yu'n bhi jaan khota hai

kaha hinda ne bibi har ghadi rona nahi acha
kaha mai qud nahi roti hu dil seene me rota hai
kaha hinda ne bibi koi yu'n bhi jaan khota hai

Comments