Kha Gaye Sham Ke Zinda'n Me Andhere Baba

azadaro'n dua maango koi aise yateem na ho
jaise sakina yateem hui

shaam ke zinda'n me jab sakina ko baba ka sar mila,
lipta ke sar ko seene se bachi ne ye kaha,
kha gaye sham ke zinda'n me andhere baba.

kisko kehte hai yateemi ye suna tha maine,
aap ke baad ye ehsaas hua hai baba,
kha gaye sham ke zinda'n me andhere baba.

aap ke baad yateemi ki saza paayi hai,
itni tanha hu ke saaya hai na parchayi hai,
raat ro ro ke guzarti hai to din matam me,
qaid khane me yuhi'n saal kata hai baba,
kha gaye sham ke zinda'n me andhere baba.

zindagi meri dukho'n se hai ibarat baba,
kaise qismat ne dihkhayi hai musibat baba,
mai jo roti hoo to lagte hai tamachay baba,
aap ki yaad me rona bhi saza hai baba,
kha gaye sham ke zinda'n me andhere baba.

ashk aankho'n se nikalte hai lahoo kano se,
ab darindo se nahi khauf hai insano se,
ek majboor yateema par sitam dhaate hai,
meri taqdeer me durro ki jafa hai baba,
kha gaye sham ke zinda'n me andhere baba.

aap ki tarha se roothe hai ujaale baba,
kaun zindan se ab mujhko nikaale baba,
tumne maanga tha duao'n me khuda se jisko,
ab wohi beti hai zinda'n me jafa hai baba,
kha gaye sham ke zinda'n me andhere baba.

kitne armaa'n the ke zinda'n se mai ghar jaungi,
aisa lagta hai yahi'n ro ro ke marjaungi,
ye sitamgaar sakina ko kafan kya denge,
kya kafan aap ke laashe ko mila hai baba,
kha gaye sham ke zinda'n me andhere baba.

baba kehte hai ye zinda'n ke andhere mujhse,
maut hi aayegi ab mujhko dilaase dene,
meri har saans hi rehti hai sitam ki zad par,
aise jeene se to marna hi bhala hai baba,
kha gaye sham ke zinda'n me andhere baba.

zakhm laakho'n hai kaleje me dikhau'n kaise,
mujhpe jo beeth rahi hai wo batau'n kaise,
pyas lagti hai to peeleti hoo aansu apne,
shimr ke durre sakina ki ghiza hai baba,
kha gaye sham ke zinda'n me andhere baba.

lafz mazhar ne jo likhe hai lahoo rote hai
shadma'n qaak se yu ashke aza behte hai
aisa lagta hai ke zinda'n se sada aati hai
aisa nauha meri ghurbat pe likha hai baba
kha gaye sham ke zinda'n me andhere baba.

Comments