Koi Yateem Na Ho

meri tarah mere baba, koi yateem na ho,
hui hai jai se sakina, koi yateem na ho.

yateem ho ke yatimi ka dard samjha hai,
ye gham saha nahi jata, koi yateem na ho.

suna tha log yatimo'n se pyar karte hai,
mai bad nasib hu baba, koi yateem na ho.

koi to sar pa muhabbat se hath rakh deta,
koi to deta dilaasa, koi yateem na ho.

na aap aate hai baba na mout aati hai,
azaab ho gaya jeena, koi yatim na ho.

mujhe yatimi ka ehsaas ye dilaata hai,
mera phata hua kurta,koi yateem na ho.

juda na ho kabhi 'irfan' baap, beti se,
uthe na baap ka saaya, koi yateem na ho.

Comments