Mere Maa'njaaye Hussain (Anjuman Aun O Mohammad)

Mere Maa'njaaye Hussain
Mere Mazloom Baradar Mere Maa'njaaye Hussain
Qabre Shabbir Pa Sar Peet Ke Zainab Ne Kaha
Dekho Mai Aayi Hoo'n
Waada Nibha Ker Bhaiyya
Mere Maa'njaaye Hussain

Apke Baad Ajab Shaame Ghareeba'n Chhaayi, Jal Gaye Khaimey Qayamat Pa Qayamat Aayi, Maal o Asbaab Luta Chhin Gayi Sar Par Se Rida,
Mere Maa'njaaye Hussain

Jis Gharaane Me Hua Jaari Chalan Parde Ka, Haa'n Ussi Aale Payambar Ko Kiya Be Parda, The Tamashaai Sare Raah Kathin Tha Rasta,
Mere Maa'njaaye Hussain

Majma E Aam Me Patthar Bhi Laee'n Barsaaye, Har Qadam Par Hamei'n Abbas Bahut Yaad Aaye,
Har Tama'nche Pa Sakina Ne Kaha Aao Chacha
Mere Maa'njaaye Hussain

Kya Karu'n Jee Ke Batao Meri Dunya Na Rahi,
Jo Bharey Ghar Ki Thi Rounaq Wo Sakina Na Rahi,
Khoo'n Bhara Kurta Kafan Hogaya Aakhir Uska
Mere Maa'njaaye Hussain

Ab Bhi Hai Shaam Ka Darbaar Nigaaho'n Me Meri,
Saat Sau Kursi Nashee'n Khaak Pa Aulaade Nabi,
Sharm Se Sar Nahi Uthta Tha Kisi Bibi Ka
Mere Maa'njaaye Hussain

Kaise Manzar Ho Rakham Zainabe Muztar Ka, Bayaa'n Qabre Shabbir Larazne Lagi Ek Hashr Utha,
Jab Rasan Ke Nishaa'n Dikhlaake Ye Boli Dukhiya
Mere Maa'njaaye Hussain

Comments