Pehchaan Lo Mai Zainab Hu (Anjuman e Masoomeen)

kya sunte ho aye abdullah,
pehchaan lo mai zainab hu.

dunya ki sataayi hai zainab is haal me aayi hai zainab,
thi zaqme dil ki ek sada kya sunte ho aye abdullah.
kya sunte ho aye abdullah, kya sunte ho aye abdullah,
pehchaan lo mai zainab hu.

maqtal ko gaye pyase bache aaye na palat kar par bachhe,
dono ne hamara naam kiya.
kya sunte ho aye abdullah, kya sunte ho aye abdullah,
pehchaan lo mai zainab hu.

laashe ke nishaa'n yu sheh ko mile qasim ke badan ke tukde mile,
armaa'n na kisi ka pura hua.
kya sunte ho aye abdullah, kya sunte ho aye abdullah,
pehchaan lo mai zainab hu.

zainab in aankhou se dekhi akbar ke kaleje me barchi
aur dekhi khoon ka ek darya 
kya sunte ho aye abdullah, kya sunte ho aye abdullah,
pehchaan lo mai zainab hu.

abbas ne sheh ki nusrat ki, Sarwar ne uski itaa'at ki,
pani ke liye be dast hua.
kya sunte ho aye abdullah, kya sunte ho aye abdullah,
pehchaan lo mai zainab hu.

halmin ke sada pe ran ko gaya asghar ke gale pe teer laga,
kat'te hue dekhi uska gala.
kya sunte ho aye abdullah, kya sunte ho aye abdullah,
pehchaan lo mai zainab hu.

jab chota bada koi na bacha beemaar tha bas ek ghash me pada,
narghe me tha tanha bhai mera.
kya sunte ho aye abdullah, kya sunte ho aye abdullah,
pehchaan lo mai zainab hu.

faryaad kuna thi jab muztar wo pyase gale par kundh qanjar,
jab roti hui aayi zahra.

phir aayi qayamat ki wo ghadi aandhi bhi wahaa par chalne lagi,
jab shimr ka qanjar chalne laga.

har simt udaasi chaayi thi kya shame ghareebaa aayi thi,
wo haal hua dekha na suna.

sar haq pe diya bhai mera iqbaal bohat wo sabir tha,
zainab ka bas ye nouha tha.
kya sunte ho aye abdullah, kya sunte ho aye abdullah,
pehchaan lo mai zainab hu.

Comments