Zainab Lipat Gayi Hai Mazaare Hussain Se (Anjuman Parwana e Shabbir)

Armaan hai ye Zainab-e Aali Maqaam ka
Chehlum hai Karbala me Shahe Tashnakaam ka,
Bhai ki Qabr dekhke aansu nikal pade,
Pyaason ki yaad aayi to dariya ubal pade,
Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se,
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Bhayya Tumhare baad anokhe sitam huwe,
Durre lage ridaae’n chhini khaime jal gaye,
Bano ke Qalb ka wo sahara bhi jal gaya,
Maa dekhti hee reh gayi jhula bhi jal gaya,
ai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se,
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Bhayya wo raat kaisi qayamat ki raat thi,
Ahle Haram pa sakht musibat ki raat thi,
Shaane kata ke Mera Nigehbaan so gaya,
Abbas ka jo farz tha Main ne ada kiya,
Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se,
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Aaghaz Karbala se Hamara safar hua,
Abid ko dekh dekh ke tukde jigar huwa,
Kufe me Sar barehna jo Aale Aba gaye,
Baba har ek qadam pa Mujhe yaad Aagaye,
Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se,
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Bhayya phir uske baad qayamat hi aagayi,
Kunbe ko leke Shaam me Main berida gayi,
Taabe nazar kaha’n thi magar dekhna pada,
Tashte tila me Aap ka Sar dekhna pada,
Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se,
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Bhayya Tumhari Beti pa kya kya sitam huwa,
Lekin kabhi na sabr ka meyaar kam huwa,
Jab inteha-e zulme sitamgaar hogayi,
Aakhir Sakina Shaam ke zinda’n me Sogayi,
Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se,
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se

Chehlum ke baad Main jo Madine ko Jaaungi,
Amma ko Main safar ki musibat Sunaungi,
Gar hosake to neel rasan ke Dikhaungi,
Main zindagi tamaam Tera Gham Manaungi,
Bhai ki Qabr hil gayi Khwahar ke bain se,
Zainab Lipat Gayi hai Mazaare Hussain se


Comments