Aaj Hai Khurasan May Ek Ghareeb Ka Matam (Anjuman Parwana e Shabbir)

Aaj Hai Khurasan May Ek Ghareeb Ka Matam

Toos Ki Hawaon May Hai Ye Kaisi Be-Chaini
Har Taraf Fazaon May Hai Ye Bekali Kaisi
Goonjti Hai Har Ghar May Ab Sadayein Matam Ki
Us Imam Ke Gham May Sab Ki Aankh Hai Pur Nam
Aaj Hai Khurasan May ...

Ek Ghareeb O Bekas Ko Kisne Zehr De Daala
Is Imam E Hashtum Par Ho Gaya Sitam Kaisa
Karwatein Badalte Hai Khaak Par Shahe Waala
Dil Ko Thaam Kar Maula Khoon Ugalte Hai Payham
Aaj Hai Khurasan May ...

Aaj Dilbare Kazim Hum Se Hogaya Ruqsat
Kya Bayan Kare Koi Us Ghareeb Ki Haalat
Kaisi Hai Ye Tanhaai Haye Kaisi Hai Ghurbat
Ab Watan Se Doori Hai Bekasi Ka Hai Aalam
Aaj Hai Khurasan May ...

Hota Hai Do Aalam May Gham Imam E Zaamin Ka
Kar Rahe Hai Sab Matam Sab Ke Lab Pa Hai Nauha
Lo Janaza Uth'ta Hai Aaj Uska Wavaila
Tha Na Jiska Ghurbat May Koi Monis O Humdam
Aaj Hai Khurasan May ...

Ek Bahan Pa Toota Hai Bhai Ka Ye Gham Kaisa
Khaak Uda Ke Roti Hai Aaj Qum Ki Masooma
Keh Rahi Hai Ro Ro Kar Mar Gaya Mera Bhaiya
Kya Karoon Mai Ab Jee Kar Kaun Hai Mera Humdam
Aaj Hai Khurasan May ...

Aagaya Taqi Par Hai Daur Ab Yateemi Ka
Kamsini Ke Aalam May Haye Dard Hai Kaisa
Sar Se Uth Gaya Unke Aaj Baap Ka Saaya
Us Imam Ko Pursa Dete Hai Rasheed Ab Ham
Aaj Hai Khurasan May ...

Comments